• Published : 11 Sep, 2015
  • Comments : 0
  • Rating : 0

Hai fakr hamein us matti pe,

jiski khusbhu mein humein apno ki sugandh aati hai,

jiski dhool mein humein beete hue tyag ki jhalak  dikhti hai,

hai naaz humein is jameen par jisme hamne apna pehla kadam rakha,

hai khushi humein apni takdir pe ki humne yahan janam  liya,

 hai garv humein us matrubhumi par , jispar

aaj bhi Bhagat Singh aur Jhansi ki rani ke lahu ke daag hain,

jahan aaj bhi Swami Vivekananda ki tapasya safal hoti dikhai deti hai,

to kya hua agar aaj bhi hum garib aur bhooke hain,

kam se kam aaj bhi es peeda ko jhelne ki himaat  to rakhte hain ,

aur  ma ke samaan ke liye apne  khun ko danw pe lagane ki chah to  rakhte hain,

jiski har boond pe bas yehi likha hai

mera Bharat mahan tha, mahan hai aur hamesha rahega

aur isliye, hai salaam har us soch aur karm ko ,

jisne aaj bhi bandh ke rakha hai

hindustan ke shaano shaukat ko.

Azadi mubarak ho.

About the Author

Abhishekm

Member Since: 07 Sep, 2015

...

View Profile
Share
Average user rating

0


Kindly login or register to rate the story
Total Vote(s)

0

Total Reads

785

Recent Publication
More I Learn the More I Seek
Published on: 04 Sep, 2020
Different shades of I
Published on: 20 Sep, 2017
A prayer on Teachers Day
Published on: 06 Sep, 2017
I Thank You Mom
Published on: 13 Oct, 2016
We Are Your Best Angels Papa
Published on: 19 Sep, 2016

Leave Comments

Please Login or Register to post comments

Comments